Spotting
 Timeline
 Travel Tip
 Trip
 Race
 Social
 Greeting
 Poll
 Img
 PNR
 Pic
 Blog
 News
 Conf TL
 RF Club
 Convention
 Monitor
 Topic
 #
 Rating
 Correct
 Wrong
 Stamp
 PNR Ref
 PNR Req
 Blank PNRs
 HJ
 Vote
 Pred
 @
 FM Alert
 FM Approval
 Pvt

अपनी संपूर्ण क्रांति, राजधानी से कम है के 🔥- Arjun Rai

Search Forum
<<prev entry    next entry>>
Blog Entry# 5938542
Posted: Jan 11 (12:15)

No Responses Yet
Rail News
3450 views
0

IR Affairs
NR/Northern
Jan 11 (12:15)   Ayodhya Dham Junction Upgrades Passenger Facilities Ahead of Ram Mandir Event

AdittyaaSharma^~   73628 news posts
Entry# 5938542   News Entry# 537134         Tags   Past Edits
अयोध्या धाम जंक्शन पर यात्रियों के लिए रेलवे खोलेगा नए काउंटर, साथ मिलेंगी ये सुविधाएं

The Indian Railways is taking steps to enhance passenger facilities at Ayodhya Dham Junction in anticipation of a surge in travelers due to the Ram Mandir Pran Pratishtha Mahotsav. This includes adding booking counters, inquiry counters, 'I Help You' counters, lost and found counters, Automated Ticket Vending Machines (ATVMs), water booths,...
more...
restrooms, medical booths, and food stalls. They are also installing escalators, rest areas, accommodation spaces, parking, CCTV, food plazas, and making arrangements for people with disabilities, seniors, and sick passengers, along with ensuring cleanliness and easy navigation. The DRM, S.S Sharma, inspected the Ayodhya Dham Junction, as well as nearby stations Darshannagar and Salarpur, to evaluate existing facilities and train operations. He instructed officials to ensure adequate passenger amenities at all stations. Meanwhile, traffic police personnel from 55 districts of Uttar Pradesh will be deployed in Ayodhya equipped with body-worn cameras and reflector jackets to assist devotees. Additionally, drone surveillance has begun as part of security measures for the Pran Pratishtha Mahotsav.

Ayodhya Dham Junction pe yaatriyon ke liye, railway naye counter khol raha hai. DRM, S.S. Sharma ne station par ghuste hi, 'I Help You', medical booth counter banane ka order diya hai. Ram Mandir Pran Pratishtha Mahotsav ke baad, rail yaatriyon ki sankhya bahut badh gayi hai, isko dekhte...
more...
hue, Mandal Rail Prabhandak, S.M. Sharma ne extra booking counter, puchtaach aur 'I Help You' counter, khoya paaya counter, ATVM, water booth, prasadhan kaksh, medical booth, khana pane ke stall lagaane ka order diya hai. Iske sath, automatic seeDhiyaan, visramaalay, yaatriyon ke thharne ka jagah, parking sthal, CCTV, food plaza, divyang, vridhajanon aur bimaron ke liye samayut vyavastha, swachchta, sundarikaran aur yaatriyon ke station par sugama aavaaganam ke liye prabandh karne ke order jaari kiye hain. DRM ne Mandal ke dusre adhikariyon ke saath Ayodhya Dham Junction station ka nirishkhan kiya aur parikshetra me aane wale Mandal ke nikatvarti Darshannagar aur Salarpur stationon pe yaatri suvidhao aur train parichalan pranali ki jaankaari praapt ki. Issi ke saath dusre stationon pe bhi paryapt yaatri suvidhao ko upalabdh karane ka nirdesh diya hai. Nirishkhan ke doran, Uper Mandal Rail Prabhandak, Ayodhya, Sachin Varma sahit dusre vibhagon ke shakhaadhyaksh, Ayodhya Dham station ke adhikshak, Vijay Chaube aur Rites company ke adhikari maujud rahe. Ram bhakton ki suvidha ke liye, UP ke 55 jilon ki yaatayat police Ayodhya me taynat hogi. Lagbhag 1200 ki sankhya me yaatayat policekarmi, shraddhaaluon ki raah aasaan karenge aur jagah jagah chaurahe aur tirahe pe madad karte nazar aayenge. Bataya ja raha hai ki 18 yaatayat nirikshak, 250 upanirikshak, 700 se adhik yaatayat constable taynat kiye jaayenge. Shraddhaaluon ki suvidha ke maddened, yaatayat policekarmi, body-worn camera, reflector jacket se laas honge. Pran Pratishtha Mahotsav par pukta suraksha ke intazam karte hue, aala adhikariyon ne drone camera se nigahabani ki prakriya shuru kar di hai. Naya ghat par IG Praveen Kumar aur ADG Piyush Mordia ne vyavasthao ka jaayza liya aur aavashyak disha-nirdesh jaari kiye. Jaise jaise pratistha ka din nazdik a raha hai, suraksha vyavasthao ko pukta karne ki karyawahi tej hoti ja rahi hai.
Scroll to Top
Scroll to Bottom
Go to Desktop site
Important Note: This website NEVER solicits for Money or Donations. Please beware of anyone requesting/demanding money on behalf of IRI. Thanks.
Disclaimer: This website has NO affiliation with the Government-run site of Indian Railways. This site does NOT claim 100% accuracy of fast-changing Rail Information. YOU are responsible for independently confirming the validity of information through other sources.
India Rail Info Privacy Policy