Spotting
 Timeline
 Travel Tip
 Trip
 Race
 Social
 Greeting
 Poll
 Img
 PNR
 Pic
 Blog
 News
 Conf TL
 RF Club
 Convention
 Monitor
 Topic
 #
 Rating
 Correct
 Wrong
 Stamp
 PNR Ref
 PNR Req
 Blank PNRs
 HJ
 Vote
 Pred
 @
 FM Alert
 FM Approval
 Pvt

Who says South India does not have Gatimaan. It is called Vaigai Express. - Thamizh Maran

Search News
<<prev entry    next entry>>
News Entry# 572130
Today (19:13) Agra Set to Get India's Second Vande Metro Train, Operations to Begin Around Diwali
798 views
0

Entry# 6208407   
  Past Edits
Oct 03 2024 (19:13)
Station Tag: Jodhpur/JU added by Exynos9611~/2099623

Oct 03 2024 (19:13)
Station Tag: Agra Cantt./AGC added by Exynos9611~/2099623
Stations:  Jodhpur/JU   Agra Cantt./AGC  
आगरा को मिलेगी लखनऊ तक की नई वंदे मेट्रो, जोधपुर तक मिलेगी पांचवीं वंदे भारत

Agra is set to get India's second Vande Metro train (Namo Bharat Rapid Rail) soon. The Railway Board is preparing to launch the train between Agra Cantt and Lucknow around Diwali. The Agra Rail Division has commenced preparations for the train's operation. The Vande Metro train might replace the Agra Fort-Lucknow...
more...
Intercity. The Railway Board will soon announce the train's starting date, timings, and fares. Agra holds significant importance in the Indian railway network as many trains pass through Agra Cantt or Agra Fort. Recognizing this, the Railway Board has already provided Agra with five Vande Bharat trains. Now, they are preparing to operate the second Vande Metro train between Agra and Lucknow. An Agra Rail Division official confirmed that the Railway Board has instructed them to prepare for the operation of the second Vande Metro train. This Metro Vande Bharat train, also known as Namo Bharat Rapid Rail, is likely to replace the Agra Fort-Lucknow Intercity. By the end of the year, Agra will become the first city in India to operate five Vande Bharat and one Vande Metro train. Currently, the Agra Cantt-Banaras Vande Bharat, Agra Cantt-Udaipur Vande Bharat (three days a week), Hazrat Nizamuddin-Rani Kamlapati Vande Bharat, and Hazrat Nizamuddin-Khajuraho Vande Bharat operate from or pass through Agra Cantt. The Railway Board plans to introduce a fifth Vande Bharat train between Agra Cantt and Jodhpur. This train will operate on three days of the week, running between Jodhpur and Sabarmati, and will connect to Agra via Jaipur. This train will operate on the days when the Agra Cantt-Udaipur Vande Bharat is not operational. The operation, timings, and fares for the Agra Cantt-Jodhpur Vande Bharat will be announced soon. The Vande Metro train will run six days a week. The train's maintenance location, whether in Agra or Lucknow, is yet to be decided. The train is expected to start operating around Diwali. The Railway Board may soon officially announce the operation of the Vande Metro train between Agra and Lucknow, along with its starting date, timings, and fares. Agra Rail Division PRO, Prashasti Srivastava, said that they have not received an official letter regarding the operation of the Agra Cantt-Lucknow Vande Metro train. Preparations will begin once the letter is received.

Agra ko jaldi desh ki dusri metro Vande Bharat train (Namo Bharat Rapid Rail) milne jaa rahi hai. Railway Board Diwali ke aas-paas Agra Cantt se Lucknow ke beech metro Vande Bharat train chalane ko taiyaar hai. Agra Rail Mandal ne train ke parichalan ki taiyarian shuru kar di hain. Sambhav...
more...
hai ki metro Vande Bharat train Agra Fort-Lucknow Intercity ka sthan le sakti hai. Railway Board jaldi hi train ke chalne ki tarikh, samay aur kiraye ki ghoshna karega. Railway ki drishti se Agra kaafi mahatvpurn hai. Desh ke uttar se lekar dakshin tak aur poorab se lekar pashchim tak adhikansh train Agra Cantt athava Agra Fort se hokar hi guzarti hain. Railway Board isi ko dhyan mein rakhte hue Agra ko abtak panch Vande Bharat train ki sougat de chuka hai. Ab bari desh ki dusri metro Vande Bharat train ko Agra se Lucknow ke beech daudaane ki taiyari hai. Agra Rail Mandal ke ek adhikari ne bataya ki Railway ki Board ki or se desh ki dusri metro Vande Bharat train ke parichalan ke liye Agra Rail Mandal ko taiyarian karne ke liye keh diya gaya hai. Namo Bharat Rapid Rail ke naam se jaani jaane wali metro Vande Bharat train sambhavtah Agra Fort-Lucknow Intercity ka sthan le sakti hai. Iss saal ke ant tak Agra desh ka pehla aisa shahar ban jayega jahan se panch Vande Bharat aur ek Vande Metro train ka parichalan hoga. Panch Vande Bharat aur ek metro Vande Bharat sirf Agra mein hoga. Abhi yahan Agra Cantt-Banaras Vande Bharat, Agra Cantt-Udaipur Vande Bharat (saptah mein teen din), Hazrat Nizamuddin-Rani Kamlapati Vande Bharat, aur Hazrat Nizamuddin-Khajuraho Vande Bharat Agra Cantt se chal rahi hain athava guzar rahi hain. Railway Agra ko panchvi Vande Bharat train ki sougat dene jaa raha hai. Railway Board Agra Cantt se Jodhpur ke beech Vande Bharat chalane jaa raha hai. Jodhpur-Sabarmati ke madhy chal rahi Vande Bharat train ko saptah mein teen din vaya Jaipur Agra tak chalane ki yojana hai. Train un teen dino mein sanchalit hogi jin dino mein Agra Cantt-Udaipur Vande Bharat sanchalit nahin hoti hai. Agra Cantt-Jodhpur Vande Bharat ke parichalan, samay-sarini v kiraye ki ghoshna bhi jaldi hogi. Metro Vande Bharat train ka parichalan saptah mein chhe din hoga. Abhi yah tay nahin hua hai ki train ka rakhrakhav Agra mein hoga athava Lucknow mein. Ummeed hai ki Diwali ke aas-paas train ka parichalan shuru ho sakta hai. Jaldi hi Railway Agra se Lucknow ke beech metro Vande Bharat train ke parichalan ki aadhkaarit ghoshna kar sakta hai. Iske saath hi Railway train ke parichalan ki tarikh, samay-sarini v kiraye ki bhi ghoshna karega. Agra Rail Mandal PRO, Prashasti Srivastava ne kaha ki Agra Cantt-Lucknow Vande Metro train ke parichalan ko lekar abhi aadhkaarit patr prapt nahin hua hai. Patr prapt hote hi train ke parichalan ko lekar taiyarian shuru kar di jaengi.
Scroll to Top
Scroll to Bottom
Go to Desktop site
Important Note: This website NEVER solicits for Money or Donations. Please beware of anyone requesting/demanding money on behalf of IRI. Thanks.
Disclaimer: This website has NO affiliation with the Government-run site of Indian Railways. This site does NOT claim 100% accuracy of fast-changing Rail Information. YOU are responsible for independently confirming the validity of information through other sources.
India Rail Info Privacy Policy