Search Forum
Blog Entry# 6049914
Posted: May 01 (15:55)
4 Responses
Last Response: May 02 (08:59)
4 Responses
Last Response: May 02 (08:59)
Maine ye new rail line ka idea socha hai. Unnao to Akbarpur via Bachhrawan. Bahut pahele ek polititian ne Unnao se Purva Maurava hote hue Bachhrawan tak new rail line ka proposal diya tha 2012 me. Ispar survey bhi hua tha lekin 2014 me government change hone ke baad ye new line ka kaam thap ho gya. Maine is rail line ko aage Akbarpur tak extend krne ka idea socha hai. Akbarpur me future me banne wali Raebareli Ayodhya line aur present me chal rhi Lucknow Sultanpur line aakar milti hai. Agar Bachhrawan se Akbarpur tak ye line ban jaati hai to Kanpur se direct Ayodhya tak ek seedhi rail line mil jayegi via Unnao Bachhrawan Akbarpur. Isse poora ka poora North east UP aur Nepal Border tak ka goods traffic Lucknow ko bypass krte hue nikal sakta hai. Agar trains Ayodhya tak seedhi pahuch gyi to Ayodhya se aage via...
more...
more...
Good idea Isse Ayodhya ko hi nahi Sultanpur Se side Wali trains aur Pratapgarh Wali side se Train is route se aram se ja sakti Hai..
Yeh Bhi Dekhlo. Baring Padma Mega Bridge & Kasimpur Mega Bridge, rest proposal sent by me are of UP. Padma Bridge 5184 mtrs & Ganga Bridge 4952 mtrs long proposal to connect Lalgola with Malda, reducing load on Farakka Barrage Rail cum Road Bridge.
Upar unnao bypass jo tumne show Kiya hai usme Jo flyover hai jo ki Unnao-Unchahar Line aur Unnao-Balamau Line ko connect kr rha hai uska DPR already railways ne bana Diya hai. Aur jo doosra section tumne show Kiya hai jisme Balamau line ko directly Lucknow ki direction me Lucknow Kanpur Line se connect Kiya hai vo possible nhi hai kyuki Balamau ki taraf Jo line hai vo already Lucknow ki direction me bani Hui hai. To ye wapas se Unnao me Lucknow ki direction me line banane ka koi sense nhi hai.
Seriously great idea as ye route develop krni chhahiye railway ko