Spotting
 Timeline
 Travel Tip
 Trip
 Race
 Social
 Greeting
 Poll
 Img
 PNR
 Pic
 Blog
 News
 Conf TL
 RF Club
 Convention
 Monitor
 Topic
 #
 Rating
 Correct
 Wrong
 Stamp
 PNR Ref
 PNR Req
 Blank PNRs
 HJ
 Vote
 Pred
 @
 FM Alert
 FM Approval
 Pvt

RailCal app

site support

तमन्ना जहाज के सफर की... क्यों करूं मैं, दिन भर की खुशियाँ लम्हों मे बर्बाद क्यों करूं मैं। - Amir

Search Forum
<<prev entry    next entry>>
Blog Entry# 6062621
Posted: May 13 (17:59)

6 Responses
Last Response: May 17 (16:19)
General Travel
20561 views
7

May 13 (17:59)   CNB/Kanpur Central (10 PFs)
AdityaUnnao
AdityaUnnao   27 blog posts
Entry# 6062621            Tags  
I think ab vo samay aa gya hai jab Indian Railways me re-zoning ki jaaye.
Is samay Indian Railways ke zones aur divisions itne jaada cluttered ho chuke hai.
Mathura ke paas me North Central Railways aur North Eastern railways NR yaani Northern Railways se bhi jada north me hai🤡
Central Railways ka kuch portion South Central Railways ke south me hai😂.
Technically
...
more...
direction wise North ke east me North East hota hai aur North ke west me North West hota hai lekin Kuch sections me NER zone NR aur NWR ke beech me hai.
Aur kuch aise routes hai jaha pe parallel me tracks alag alag zones ke hai. Jisse agar ek track pe kaam krna ho to doosra zone permission Dene me 2-3 saal laga deta hai.
Same cheej Aishbagh Manaknagar doubling me hui.
NR aur NER ke tracks ek hi location pe hai but NR ne NER ko rula diya block ki permission Dene me.
Isse overall nuksaan hum common passengers ka hi hai.
Kyunki jab do zone ek hi jagah pe hote hai to vo aapas me hi conflicts kr lete hai.
Unnao Junction se 55 km North me jayenge to NER ka Lucknow division lag jaata hai
100 m West me jayenge NR ka Moradabad Division lag jaata hai.
10 km south me jayenge to NCR ka Prayagraj Division lag jaata hai aur Unnao khud NR ke Lucknow Division me hai.
Sirf itne se section pe 4 alag alag division aur 3 alag zones jara jara si doori pe hai.
Isliye is route pe itna conflict hota hai.
Yaha pe jab train NR ke tracks pe hoti hai to NR apni trains ko priority pe daal deta hai aur baaki trains late kar deta hai. Jab train NER pahuchti hai to NER wale apni trains ko priority dene lag jaate hai. Aur same cheej NCR wale krte hai.

Isliye ab railways ko jaroorat hai ki IR ki dobara sahi se zoning ki jaaye aur jo ye ho rha hai ki agal bagal ke sabhi tracks ek particular division ke hai aur beech me ek track aa jaata hai jo doosre division ka hai ye cheej na ho.
Isse overall trains ki efficiency badhegi aur zonal conflicts kam se kam honge.

Translate to English
Translate to Hindi

3 Public Posts - Mon May 13, 2024

12157 views
1

May 13 (22:43)
SaurabhDubey^~
SaurabhDubey^~   30269 blog posts
Re# 6062621-5              
Yes, zonal reorganization is the need of time
Translate to English
Translate to Hindi

1 Public Posts - Tue May 14, 2024

1 Public Posts - Fri May 17, 2024
Scroll to Top
Scroll to Bottom
Go to Desktop site
Important Note: This website NEVER solicits for Money or Donations. Please beware of anyone requesting/demanding money on behalf of IRI. Thanks.
Disclaimer: This website has NO affiliation with the Government-run site of Indian Railways. This site does NOT claim 100% accuracy of fast-changing Rail Information. YOU are responsible for independently confirming the validity of information through other sources.
India Rail Info Privacy Policy