Spotting
 Timeline
 Travel Tip
 Trip
 Race
 Social
 Greeting
 Poll
 Img
 PNR
 Pic
 Blog
 News
 Conf TL
 RF Club
 Convention
 Monitor
 Topic
 #
 Rating
 Correct
 Wrong
 Stamp
 PNR Ref
 PNR Req
 Blank PNRs
 HJ
 Vote
 Pred
 @
 FM Alert
 FM Approval
 Pvt

Be a RailFan; learn how to enjoy your trip; enjoy your life.

Search Forum
<<prev entry    next entry>>
Blog Entry# 6121039
Posted: Jul 11 (11:09)

No Responses Yet
Rail News
31131 views
0

IR Affairs
ECR/East Central
Jul 11 (11:09)   Shravan Travel Rush: Train & Bus Bookings Surge for Deoghar Pilgrimage

AdittyaaSharma^~   73037 news posts
Entry# 6121039   News Entry# 559856         Tags   Past Edits
read full article... रांची-गोड्डा व मौर्य एक्सप्रेस में 27 जुलाई तक बर्थ फुल, इंटरसिटी में सीटें उपलब्ध

The month of Shravan is a sacred time for worshiping Lord Shiva. Devotees travel to Deoghar, the abode of Baba Baidyanath, to offer water to the deity. This year, bookings for trains on the Jasidih and Bhagalpur routes have surged due to the influx of pilgrims. Several trains, including the...
more...
Ranchi-Godda and Maury Express, have filled up for the first week of Shravan (July 21-27). However, other trains like the Patliputra Express, Ranchi-Dumka, Dhanbad-Patna, and Ranchi-Godda Intercity still have available seats. Private vehicles are also in high demand during Shravan, with prices for vehicles like the Scorpio starting at INR 1000 per day. Bus services from Dhanbad to Sultanpur will operate daily, with fares remaining unchanged from last year at INR 400.

Sawan Baba Bholenath ki aradhana ka priya maas hai. Is maas bhakt shivalayo mein jalarpana kar pooja-archana karte hain. Jalabhishek karne Baba Nagri Deoghar jaate hain. Bus, train aur private vehicle se SultanGanj jaakar vahan Ganga nadi se jal uthate hain aur fir paidal Baidyanath Dham jaakar Baba ko jal chadhaate...
more...
hain. Jasidih aur Bhagalpur route mein trainon mein booking badh gayi hai. Sawan ke pehle hafte mein Baba Dham jaane ke liye Dhanbad se 800 se zyada logo ne booking kara li hai. Kai trainon ki sleeper aur AC class mein waiting lag gayi hai. Ranchi-Godda aur Maury Express ki sabhi class 21 se 27 July ke beech full ho chuki hain. Patliputra Express, Ranchi-Dumka, Dhanbad-Patna aur Ranchi-Godda Intercity mein abhi seaten uplabdh hain. SultanGanj aur Bhagalpur jaane ke liye Ranchi-Godda Express aur Ranchi Dumka Express 18 se 25 July tak full hain. Vananchal aur Ranchi-Godda Intercity mein seaten uplabdh hain. ~1000/din bhaade par private vahano ki booking. Sawan mein log private gadi book kar bhi SultanGanj hote hue Deoghar jaate hain. Sawan ke pehle se hi private vahano ki mang badh jaayegi. Vahan malik Mantu Sav ke anusar Scorpio aur iske samkash car ka bharaa prati din ek hazaar rupaye lagega. Tel aur driver ka kharch alag se vahan karna hoga. SultanGanj-Bhagalpur ki trainon mein 25 tak ka haal. Dhanbad se Jasidih ki kai trainon ke sleeper aur AC class mein waiting list. Har din jile se khulengi teen-char busen, is baar bharaa mein badhotari nahin. Sawan mein Dhanbad se SultanGanj ke liye jila mein alag-alag kshetra se prati din teen-char busen khulengi. Bus Owners Association ke sanjogak Sanjay Singh ke anusar Dhanbad se SultanGanj ka bharaa pichle saal ka laagu rahega. 400 rupaye bharaa nirdharit hai. Bus stand se Sawan mein prati din SultanGanj ke liye ek bus chalegi. Yatri badhne par Dhanbad se aur bus kholi jaayegi. Jharia, Katras aadi kshetra jodkar teen se char bus prati din chalegi. Ravivaar aur Guruvaar ko Dhanbad se char se panch bus chalane ki tayari hai.
Scroll to Top
Scroll to Bottom
Go to Desktop site
Important Note: This website NEVER solicits for Money or Donations. Please beware of anyone requesting/demanding money on behalf of IRI. Thanks.
Disclaimer: This website has NO affiliation with the Government-run site of Indian Railways. This site does NOT claim 100% accuracy of fast-changing Rail Information. YOU are responsible for independently confirming the validity of information through other sources.
India Rail Info Privacy Policy